Thursday, June 7, 2007

pyaar koshish karne se nahin ..

Pyaar koshish karne se nahin hota
pyaar to baas ho jaata hai ..
pyaar main effort nahin lagta
issi liye to pyaar effortless kehlata hai ..

Kabhi kabhi manzil pata hone se ..
safar assan ho jaata hai
par ..
hamesha manzilein teh kar ke
safar shuru to kiya nahin jaata hai

kabhi kabhi sab assan lagta hai
lekin phir kathin ho jaata hai ..
par ..
hamesha kathin dikhti rahein
samay assan bhi to bana jaata hai ...

Pyaar koshish karne se nahin hota
pyaar to baas ho jaata hai..
yeh to ab samay ke haath hai
ki woh tumhe aur mujhe kahan le jaata hai ..

Thoughts of wandering soul..
started scribbling on 5 june 2007
completed 7 june 2007

No comments: