naya hai suraj naya hai din bhi
naya hai din to hai nayi shuruwaat bhi
naya hain manzilain is liye naya hai safar bhi
kehta hai kudh ko naya musafir
naye safar ki is daud main
mil gaye hain usse ab naye humsafar bhi
Naye safar ki shuruwaat ab
lagti hai usse badi suhani si
Naya din hai laya saath
nayi khushiyaan bhi
kyun na ho ? yeh pal suhana
intezaar kiya hai usne
iss naye din ka
naya hai din ab ...nayi hai shuruwaat bhi
Wednesday, June 27, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment