Aaj phir dil bahut udaas hai ..aaj phir bahut tanhai hai ..
unki yaad aate hi dil ne chaain, ankhoon ne neend gawai hai
Aaj phir woh saare dard jaag uthe hain .
aaj phir unse juddi har cheez yaad aayi hai ..
woh hasein pal, woh dard bhi..woh pyaar, aur unki bewafai yaad aayi hai ..
Ek taraf koi har pal khushi se bita raha hai ..
to ek taraf koi ek ek pal gin gin kar guzaar raha hai .. maut bhi kahan usse apna bana paayi hai
Gar pyaar kiya the ek saa .. to ab ek ke hisse yeh tanhai kyun aayi hai
Ek ne aaj apne jeevan main naye rang bhar kar khushiyoon se holi manayi hai
to ek ne aaj shayad akele saab rangoon ko mitta kar kahin, holika jalai hai ..
Sunday, March 4, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment